Home > Author > sheikh fatyma >

" Zindagi ki train per sawaar, hawa k woh zor se jhonkon se urne wali zulfon ne kuch rukh badalti hue raston ki yaad dilaye; asman to aik he tha lekin badalte hue rung aur yadain. Woh radio per lgi hui dhun aur train k chalne ki awaz kuch mukhtalif theen lekin unka aik sa he taluq mehsos hua. Kahan zindagi ruk si gyee thi; tham sa gya tha karwan; thehar se gye the kam;chalti rhi hawa; khilte rahe phool. Ehsas hua k zindagi to mukhtasir he rahi hamesha; farq itna hai k masroofiat ne kabhi yeh mehsoos krne ka waqt he nahi dya. Kya waqt ka paheya yun ghooma k dunya ruk si gyi aur zameen-o-asmaan ne sans lena shuru kardya jo shayad kaheen ruk sa gya tha. Kaheen woh taluq aur rabta thehar sa gya; woh zindagi ki tez raftar kaheen halki hote hue mehsoos hone lgi; kuch muktalif sa lgne lga waqt shayad kaheen woh tez hawa jo andhi k manind thi woh ub tham si gyi thi. zindagi ne naya rukh le lya; aur insan heraan hogye. "

sheikh fatyma


Image for Quotes

sheikh fatyma quote : Zindagi ki train per sawaar, hawa k woh zor se jhonkon se urne wali zulfon ne kuch rukh badalti hue raston ki yaad dilaye; asman to aik he tha lekin badalte hue rung aur yadain. Woh radio per lgi hui dhun aur train k chalne ki awaz kuch mukhtalif theen lekin unka aik sa he taluq mehsos hua. Kahan zindagi ruk si gyee thi; tham sa gya tha karwan; thehar se gye the kam;chalti rhi hawa; khilte rahe phool. Ehsas hua k zindagi to mukhtasir he rahi hamesha; farq itna hai k masroofiat ne kabhi yeh mehsoos krne ka waqt he nahi dya. Kya waqt ka paheya yun ghooma k dunya ruk si gyi aur zameen-o-asmaan ne sans lena shuru kardya jo shayad kaheen ruk sa gya tha. Kaheen woh taluq aur rabta thehar sa gya; woh zindagi ki tez raftar kaheen halki hote hue mehsoos hone lgi; kuch muktalif sa lgne lga waqt shayad kaheen woh tez hawa jo andhi k manind thi woh ub tham si gyi thi. zindagi ne naya rukh le lya; aur insan heraan hogye.